Yar Ke Nargis-e-bimar Ka Bimar Raha
yar ke nargis-e-bimar ka bimar raha
yahi aazar mere darpai-e-azar raha
umr-bhar shefta-e-chashm-o-lab-e-yar raha
kabhi surat rahi mujh ko kabhi bimar raha
dil ko mere na zara ranj shab-e-tar raha
sham-e-afroz KHayal-e-ruKH-e-kaddar raha
lab pe dil-soKHton ke nala sharar-bar raha
sard-mehri ka tere garm ye bazar raha
main fida ruKH pe wo zulfon ka giraftar raha
dil ko tujh se na mujhe dil se sarokar raha
KHud-faroshi sar-e-bazar jo lai un ko
misr mein ek na yusuf ka KHaridar raha
mere marne se phansa dam-e-gham-o-ranj mein wo
main riha ho gaya sayyaad giraftar raha
but-parasti mein bhi bhuli na mujhe yaad-e-KHuda
hath mein subha gale mein mere zunnar raha
lakh asiron ko kiya tum ne riha zindan se
ek mahrum-e-inayat ye gunahgar raha
teri ai wahshat-e-dil dast-daraazi na gai
baad-e-murdan bhi kafan mein na koi tar raha
rauzan-e-qabr se jhanke jo wo isa aaya
mar gae par bhi hamein did ka aazar raha
chum lin nashshe mein aaj un ki nashili aankhen
ain be-hoshi-e-lazzat mein bhi hoshiyar raha
ruKH se apne jo naqab us ne uThaya to kya
parda-e-sharm-o-haya mane-e-didar raha
dasht-e-wahshat mein rahe qais se lakhon hamrah
sare diwanon ka main qafila-salar raha
be-KHata kaun dil-azar KHafa tha tum se
umr-bhar tu jo 'qalaq' zist se bezar raha
(921) Peoples Rate This