Yagana Un Ka Begana Hai Begana Yagana Hai
yagana un ka begana hai begana yagana hai
KHudai se nirala un buton ka karKHana hai
nigah-e-naz se said apna murgh-e-dil nahin hota
kabhi uDta nahin nawak se jo wo ye nishana hai
udhar kaliyan chaTakti hain idhar shor-e-anadil hai
chaman mein kis ki aamad hai ye kaisa shadiyana hai
junun ne ki hai qabr-e-qais ki is tarah aaraish
charagh-e-ghul raushan hain bagula shamiyana hai
hamara haal-e-dil sunne se dil par choT lagti hai
uDa deta hai nind aankhon se jo wo ye fasana hai
phala-phula na kisht-e-dahr mein tuKHm-e-umid-e-dil
nahin aagah jo nashw-o-numa se ye wo dana hai
jahan koshish zara ki naqd-e-mazmun us se hath aaya
zamin-e-sher mein bhi dafn kya koi KHazana hai
bayan karta hai mere wasf aksar apni mahfil mein
ye us ayyar ki mujh se lagawaT ghaebana hai
nawa-sanji se meri bulbulon ke hosh uDte hain
gulon se bhi kahin rangin siwa mera tarana hai
tu mushtaqon se apne chashm-poshi rose karta hai
tere didar ki daulat bhi qarun ka KHazana hai
urus-e-marg se shadi hui hai KHun se lab tar hai
gale mein ye shahid-e-naz ke joDa shahana hai
kal un se puchh lenge karte ho ab bhi dil-azari
jahan tak chahen kar len zulm aaj un ka zamana hai
hamein baKHshe na baKHshe daKHl ya marzi mein malik ki
wagarna us ki rahmat ko to darkar ek bahana hai
jabin-sa rahte hain har-dam malak jinn-o-bashar to kya
dar-e-daulat sara-e-yar ka wo aastana hai
anadil ki sada kya bum bhi hai jis jagah anqa
'qalaq' is gulshan-e-viran mein apna aashiyana hai
(829) Peoples Rate This