Wada-KHilaf Kitne Hain Ai Rashk-e-mah Aap

wada-KHilaf kitne hain ai rashk-e-mah aap

sach to ye hai ki jhuTon ke hain baadshah aap

daftar siyah karte hain kyun katib-e-amal

hun maghrib gunahon ka main ru-siyah aap

hum se to dil mein aap ke ab tak na ghar hua

kar lete hain dilon mein ye kis tarah rah aap

ye gah bhi kafsh-KHana hai aaKHir huzur ka

tashrif yan bhi laya karen gah gah aap

mahshar talak rahega in aankhon ko shauq-e-did

dekhen ki ab dikhate hain ta-chand rah aap

tashbih nam aankhon ki hai sujhna muhaal

sari bayaz karte hain na-haq siyah aap

kuchh husn hi hain afsar-e-KHuban nahin huzur

hain mulk-e-an-o-naz ke bhi baadshah aap

aariz abhi hain rup pe KHat aane dijiye

kar lijiyega farq-e-safed-o-siyah aap

kyun us ne ku-e-yar se bahar nikale panw

majnun hua hai hath se apne tabah aap

kalima paDhe huzur ka dekhe jo samri

rakhte hain aisi sehr ki chashm-o-nigah aap

sab aashiqon ke ek se hote nahin chain

khoTa khara parakhne ki rakhiye nigah aap

darmandon ka hai kaun ba-juz un ke dast-gir

apne apahijon ko wo lenge nibah aap

mujh ru-siyah ki hai ye dua waqt-e-baz-purs

rakhiyega apne lutf-o-karam par nigah aap

ulfat ka kya yahi hai natija jahan mein

aashiq ko qatl karte hain kyun be-gunah aap

dil de ke bahr-e-fikr mein ho ghota-zan abas

dariya-e-ishq ki nahin paenge thah aap

azm-e-safar to mulk-e-adam ka hai ai 'qalaq'

kuchh apne sath le bhi chale zad-e-rah aap

(906) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wada-KHilaf Kitne Hain Ai Rashk-e-mah Aap In English By Famous Poet Arshad Ali Khan Qalaq. Wada-KHilaf Kitne Hain Ai Rashk-e-mah Aap is written by Arshad Ali Khan Qalaq. Read famous Poem Wada-KHilaf Kitne Hain Ai Rashk-e-mah Aap for youth and Student by Arshad Ali Khan Qalaq. Free Download Wada-KHilaf Kitne Hain Ai Rashk-e-mah Aap in PDF.