Tha Qasd-e-qatl-e-ghair Magar Main Talab Hua
tha qasd-e-qatl-e-ghair magar main talab hua
jallad mehrban hua kya sabab hua
afsos kuchh na meri rihai ka Dhab hua
chhuTa udhar qafas se idhar main talab hua
tashrif lae aap jo main jaan-ba-lab hua
us waqt ke bhi aane ka mujh ko ajab hua
niklegi ab na hasart-e-qatl ai nigah-e-yas
qatil ko rahm aa gaya mujh par ghazab hua
ho jaega kuchh aur hi rang ahl-e-hashr ka
qatil se KHun-baha jo hamara talab hua
shayad baDhain yar ne mannat ki beDiyan
ab ki mujhe junun na hua kya sabab hua
pinhan tamam zulmat-e-kufr-o-sitam hui
talea junhi wo mehr-e-siphar-e-arab hua
hum Dub jaenge araq-e-infial mein
aamal-nama hashr mein jis dam talab hua
itna to jazb-e-dil ne dikhaya mujhe asar
chain us ko bhi na aaya main betab jab hua
rote the aql-o-hosh hi ko hum to ishq mein
lo ab to dil se sabr bhi ruKHsat-talab hua
ai be-KHudi-e-dil mujhe ye bhi KHabar nahin
kis din bahaar aai main diwana kab hua
shadi shab-e-visal ki matam hui mujhe
hangam-e-subh-e-yar jo ruKHsat-talab hua
bose dikha dikha ke hamein le raha hai ye
kyun itna be-lihaz tera KHal-e-lab hua
kya jaan kar malal diye kab ka tha ghubar
kis roz aasman se main rahat-talab hua
duniya mein ai 'qalaq' jo pur-arman hum rahe
nashad na-murad hamara laqab hua
(807) Peoples Rate This