Tasir Jazb Maston Ki Har Har Ghazal Mein Hai
tasir jazb maston ki har har ghazal mein hai
eajaz baD mein hai to karamat zaTal mein hai
dil mein jo apne yar hai to dil baghal mein hai
phir kyun hai gham ki sahab-e-KHana mahal mein hai
kitna ghurur hai tumhein husn-o-jamal par
go yaad-e-yar-e-husn tumhaare amal mein hai
hai yaad dil mein panja-e-rangin-e-yar ki
mehndi ke chor ka guzar apne mahal mein hai
bad-tar KHizan se hai hamein is bagh ki bahaar
boi nifaq phul mein hi zahar phal mein hai
lete hain bose un lab-o-gesu ke raat-din
mulk-e-yaman se taKHtan apne amal mein hai
munim ye kar-KHane hain duniya ke kar na fikr
koi hai jhonpaDe mein to koi mahal mein hai
jo ban gaya wo pech magar un ke hain wahi
rassi ka bal huzur ki zulfon ke bal mein hai
pahlu mein mujh hazin ke Tapakta hai raat-din
yarab ye dil hai ya koi phoDa baghal mein hai
itna laziz bagh-e-jahan mein samar hai kaun
jo zaiqa nihaal-e-tamanna ke phal mein hai
hasrat hai hum bhi kahte kisi din ye ai falak
ai dil mubarak aaj to dilbar baghal mein hai
dushnam de ke bose ye kah kah ke dete hain
inam galiyon ke ye nemul-badal mein hai
laya hai rang phir gul-e-dagh-e-junun mera
shayad nuzul-e-nayyar-e-azam hamal mein hai
mujh rind-e-baadah-kash ko ye jo KHauf-e-mohtasib
dil ki tarah chhupi hui botal baghal mein hai
bahr-e-sarashk dida-e-dil mein hai maujzan
dekho tilism-e-husn ki dariya kanwal mein hai
ai mai-kasho tumhaari bhi dawat karenge hum
urs-e-janab-e-pir-e-mughan aaj-kal mein hai
sanea ne wo dahan na banaya na kuchh likha
KHali jagah nawishta-e-roz-e-azal mein hai
KHat bhi diya to qasid-e-ghaflat-shiar ko
nama mera bandha hua bazu-e-shal mein hai
dast-e-junun ne phaD ke phenka idhar-udhar
daman abad mein hai to gareban azal mein hai
ashkon ke badle KHun ke qatre Tapakte hain
batti hamare zaKHm ki raushan kanwal mein hai
dil phuk raha hai garche hum aaghosh hai wo gul
pahlu mein mere KHuld hai dozaKH baghal mein hai
bimar-e-ishq kahte hain darushshifa use
aisi hi jo hasin farangi-mahal mein hai
likhna tha jo kuchh aap ko pahle hi likh diya
haal-e-abad bhi daftar-e-roz-e-azal mein hai
pahlu mein dil hamare hai zeb-e-kanar-e-yar
aaghosh mein hai dost to dushman baghal mein hai
wada kiya tha aaj so phir kal pe Tal gaya
aaKHir hamari maut isi aaj-kal mein hai
lapka paDa hai husn-parasti ka kis qadar
jab dekhiye 'qalaq' ko farangi-mahal mein hai
(1032) Peoples Rate This