Sote Hain Phail Phail Ke Sare Palang Par
sote hain phail phail ke sare palang par
hum chup alag paDe hain kinare palang par
afshan ke zarre dekh ke sare palang par
samjha main loTte hain sitare palang par
puchho na mujh se shiddat-e-dard-e-shab-e-firaq
taDpa kiya main raat ko sare palang par
lipTe hue paDe rahe paTTi se hum alag
soya kiye wo chain se sare palang par
bechain ho ke farsh pe lag jaegi jo aankh
chaliye KHuda ke waste pyare palang par
us mah baghair nind na aai tamam raat
leTe hue gina kiye tare palang par
toshak ke phul ban gae angare hijr mein
dahka ki ek aag si sare palang par
qismat hai aage wasl mayassar ho ya na ho
aae to minnaton se wo bare palang par
izaen subh-e-hijr ki kahne bhi hum na pae
wo sham hi se aaj sidhaare palang par
bahar hua main jame se apne shab-e-visal
kapDe jo us ne apne utare palang par
us mah-ru ki did ka allah re ishtiyaq
gardun se TuTe paDte hain tare palang par
shab ko KHajil thi us ki safedi se chandni
chadar kasi thi aisi tumhaare palang par
furqat ki raat ro ro ke dariya baha diye
takiye bane nahang hamare palang par
paTTi ke niche baiTha raha raat-bhar 'qalaq'
rakkha qadam na KHauf ke mare palang par
(954) Peoples Rate This