Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c8cb9220abc6200e057acd14a55b6f8a, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sitam Wo Tumne Kiye Bhule Hum Gila Dil Ka - Arshad Ali Khan Qalaq Poetry In English - Darsaal

Sitam Wo Tumne Kiye Bhule Hum Gila Dil Ka

sitam wo tum ne kiye bhule hum gila dil ka

hua tumhaare bigaDne se faisla dil ka

bahaar aate hi kunj-e-qafas nasib hua

hazar haif ki nikla na hausla dil ka

chala hai chhoD ke tanha kidhar tasawwur-e-yar

shab-e-firaq mein tujh se tha mashghala dil ka

wo rind hun ki mujhe hatkaDi se baiat hai

mila hai gesu-e-jaanan se silsila dil ka

wo zulm karte hain hum par to log kahte hain

KHuda bure se na Dale muamla dil ka

hazar fasl-e-gul aae junun! wo josh kahan

gaya shabab ke ham-rah walwala dil ka

KHuda ke hath hai ab apna ai 'qalaq' insaf

buton se hashr mein hoga muamla dil ka

(852) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sitam Wo Tumne Kiye Bhule Hum Gila Dil Ka In English By Famous Poet Arshad Ali Khan Qalaq. Sitam Wo Tumne Kiye Bhule Hum Gila Dil Ka is written by Arshad Ali Khan Qalaq. Read famous Poem Sitam Wo Tumne Kiye Bhule Hum Gila Dil Ka for youth and Student by Arshad Ali Khan Qalaq. Free Download Sitam Wo Tumne Kiye Bhule Hum Gila Dil Ka in PDF.