Sharaf Insan Ko Kab Zill-e-huma Deta Hai
sharaf insan ko kab zill-e-huma deta hai
baadshahi jise deta hai KHuda deta hai
mera saqi wo mai-e-hosh-ruba deta hai
sare aalam ke bakheDon se chhuDa deta hai
kaun kahta hai ki hote hain KHush-andaz hasin
chahne wala trahdar bana deta hai
munimon ko nahin neamat mein ye lazzat hasil
sukha TukDa jo tawakkul ka maza deta hai
is mein sau tarah ki qudrat hai wo majbur nahin
chahta hai to muqaddar se siwa deta hai
tegh-e-qatil meri gardan se lipaT jati hai yun
jaise bichhDe ko gale koi mila deta hai
shor-e-KHalKHal tera ai sanam-e-hashr-KHiram
fitna-e-KHufta-e-mahshar ko jaga deta hai
qulzum-e-rahmat-e-haq josh pe jab aata hai
ghaT par kashti-e-ummid laga deta hai
ek hi shab ka hai mehman ki chaTak kar ghuncha
subh-dam kuch ka naqqara baja deta hai
kis qadar dil hai chuTila ki dam-e-sair-e-chaman
nala-e-bulbul-e-nashad rula deta hai
soz-e-furqat bhi kam o saiqa-e-qahr nahin
KHirman-e-hasti-e-ushshaq jala deta hai
husn-e-andaz bhi shayad koi mashshata hai
aadmi ko ye pari-zad bana deta hai
un jafa-karon ki ulfat nahin aasan kaisi
dil jo deta hai unhen jaan laDa deta hai
kya bashar roke kahe haal-e-dil-e-zar apna
qahqahon mein wo pari-zad uDa deta hai
baghban-e-gul-e-mazmun hai haqiqat mein 'qalaq'
jab ghazal paDhta hai ek bagh khila deta hai
(1102) Peoples Rate This