Sair Karte Use Dekha Hai Jo Bazaron Mein
sair karte use dekha hai jo bazaron mein
mashware hote hain yusuf ke KHaridaron mein
chahte hain ki koi ghairat-e-yusuf phans jae
kis qadar khoTe khare bante hain bazaron mein
do-qadam chal ke jo tu chaal dikha de apni
Thokaren khate phiren kabk bhi kohsaron mein
KHun-e-ushshaq se lazim hai ye parhez karen
ki shumar aap ki aankhon ka hai bimaron mein
shaiKH-e-kaba ho diya barhaman-e-but-KHana
ek hi ke dar ye donon hain parastaron mein
dekhiye kitne KHaridar hain kya uThna hai
jins dil bhej ke un ko koi hai bazaron mein
fasl-e-gul aai KHizan bhi hue gulzar magar
tair-e-dil hai hunuz un ke giraftaron mein
sair ke waste nikla jo wo rashk-e-yusuf
band raste hue ThaT lag gae bazaron mein
ye naya yar ki sarkar mein dekha insaf
be-gunah bhi gine jate hain gunahgaron mein
kahin DhunDe se bhi milte the na arbab-e-kamal
jin dinon qadr-shanasi thi KHaridaron mein
tegh-e-qatil ke gale milte hain KHush ho ho kar
id-e-qurban hai mohabbat ke gunah-garon mein
kisi amn se na uljha na hui sohbat-e-gul
ai zaifi tan-e-zar apna hai un KHaron mein
'qalaq' isbaat-e-dahan munh ko na khulwae kahin
hai baDi baat agar baat rahi yaron mein
(684) Peoples Rate This