Saf Baaton Se Ho Gaya Malum
saf baaton se ho gaya malum
hote ho matlab-ashna malum
kushta tegh-e-nigah se kijiyega
chashm-o-abru se ho gaya malum
ibtida ne mohabbat-e-dil ki
ye na thi hum ko intiha malum
kuchh dahan hi nahin hai wo napaid
kamar-e-yar bhi hai na-malum
dar tak us ke meri rasai ho
tujh se ai baKHt-e-na-rasa malum
jab kaha roke tujh pe marte hain
hans ke bola wo but KHuda-malum
mehrban aaj-kal hai wo be-mehr
us mein hoti hai kuchh dua malum
tum suKHan-saz ho baDe ai jaan
tarz-e-taqrir se hua malum
jab muamme mein zikr-e-wasl kiya
bola matlab na kuchh hua malum
bad-guman duKHt-e-raz se waiz ho
hum ko hoti hai parsa malum
le ke dil wo karega bedardi
ye na Dhang us ka qabl tha malum
qabil-e-ishq ye hasin nahin
in dagha-bazon se wafa malum
jab kaha main ne o taghaful-kesh
haal hai mere ishq ka malum
misl-e-aina hairati hun qadim
bola lakhon hain aise kya malum
han magar hum ko dekha to hai kahin
hote ho surat-ashna malum
sabiqa jab tak ai 'qalaq' na paDe
haal insan ka ho kya malum
(763) Peoples Rate This