Roz-e-awwal Se Asir Ai Dil-e-nashad Hain Hum
roz-e-awwal se asir ai dil-e-nashad hain hum
parwarish-yafta-e-KHana-e-sayyaad hain hum
kis tarah se na pise dil ruKH-e-gandum-gun par
aaqibat hazrat-e-adam hi ki aulad hain hum
jo laDakpan se hai gahwara-e-betabi ki
naz-parwarda-e-ishq-e-sitam ijad hain hum
kyun na ho ranj-e-asiri-e-qafas se rahat
KHana-zad-e-chaman-e-gulshan-e-bedad hain hum
KHusraw-e-shahr-e-ada hai jo wo rashk-e-shirin
koh-e-andoh-o-gham-o-yas ke farhad hain hum
did-e-sanat se hai yan ghayat-e-did-e-sanea
ai buto shefta-e-husn-e-KHuda-dad hain hum
qil se roke use hum pe jab late hain
tifl-e-ashk apne ye kahte hain ki ustad hain hum
qaid se bhi na riha ho ke hawa kuchh dil shad
mubtala-e-gham-e-tanhai-e-sayyaad hain hum
chaman-e-dahr mein be-wajh nahin hain nalan
andalib-e-gul-e-ruKHsara-e-sayyaad hain hum
apni miras mein hain dasht-o-jabal ai wahshat
ja-nashin qais ke hain waris-e-farhad hain hum
hathkaDi karti hai baiat to qadam lete hain KHar
tere diwane jo ai rashk-e-pari-zad hain hum
qadr apni na jahan mein hui ba-wasf-kamal
sifat-e-bu-e-gul is bagh mein barbaad hain hum
shikwa karta hun tabahi ke to farmate hain
KHana-barbaadi-e-ushshaq ki buniyaad hain hum
jaan-nisaron se hai tegh-e-nigah-e-yar ka qaul
dam mein lakhon ko karen qatl wo jallad hain hum
hum shikayat nahin kuchh karte tumhin munsif ho
wajibur-rahm hain ya qabil-e-bedad hain hum
hum samajhte hain paDhai hui baaten na karo
tifl-e-maktab ho tum ai jaan abhi ustad hain hum
gesu-e-yar ke saude ne kiya KHana-KHarab
kya hua KHwahi-e-sayyad mein barbaad hain hum
aaj hoti hai 'qalaq' qata-e-ummid-e-didar
nigaran is liye su-e-ruKH-e-jallad hain hum
(848) Peoples Rate This