Rag-o-pai Mein Bhara Hai Mere Shor Uski Mohabbat Ka
rag-o-pai mein bhara hai mere shor us ki mohabbat ka
namak-parwar wo hun main yar ke husn-o-malahat ka
banane se mere bigDa ye rang un ki tabiat ka
mujhi se hai pari-zadon ko dawe aadamiyat ka
KHaridari-e-jins-e-husn par raghbat dilata hai
bana hai shauq-e-dil dallal bazar-e-mohabbat ka
sada-e-ah hai mizrab-e-gham ki chheD se paida
dil-e-nalan naya parda hai qanun-e-mohabbat ka
jo waqt-e-qatl us ke lal-e-shirin ka paDa partaw
pilaya aab-e-tegh-e-yar ne sharbat shahadat ka
hua ye dil na jab mera to phir kya aur ka hoga
bharosa kijiyo tum bhi na aise be-murawwat ka
zamane ko to mere waste in sab ne chhoDa hai
na hun kis tarah main mamnun dard-o-ranj-o-mehnat ka
abas aasudgan-e-KHak ko bad-KHwab karte ho
abhi se kyun macha rakkha hai hangama qayamat ka
zaifi mein bashar lahw-o-lab ko tark karte hain
safedi mu-e-sar ki nur hai kya chashm-e-ibrat ka
bahaar-e-bagh-e-alam be-sabaat aisi hai ai bulbul
guman hai KHanda-e-gul par sada-e-kus-e-rehlat ka
dabistan-e-azal mein ustad-e-ishq ne mujh ko
sabaq pahle diya tha abjad-e-wab-e-mohabbat ka
sada yan hillat-e-bint-e-anab ki aqd jari hai
tariqa hai nirala pir-e-mai-kash ki tariqat ka
jo paya mughbachon mein tarz-e-eajaz-e-masihai
hua zahid bhi qail pir-e-mai-kash ki karamat ka
subut-e-jurm ulfat kar ke mara us ke saude ne
teri zulf-e-rasa darrah bani shara-e-mohabbat ka
na dekha muD ke bhi phir ahd-e-piri mein jawani ne
abas mazkur karte ho tum aise be-murawwat ka
wo bekas hun siwae shabnam-e-giryan pas-e-murdan
diya rone mein kis ne sath meri sham-e-turbat ka
ghubar-e-kina-o-bughz-o-hasad se pak hai ye dil
hamare aaine ne munh nahin dekha kudurat ka
karen kya rind mashrab iKHtiyar ek mazhab ai waiz
nahin dil toDna manzur haftad-o-do-millat ka
'qalaq' har waqt ab hai samna taklif-e-piri ka
jawani luT kar sab le gai asbab rahat ka
(1011) Peoples Rate This