Pinhan Tha KHush-nigahon Ki Didar Ka Maraz
pinhan tha KHush-nigahon ki didar ka maraz
band aankh jab hui to hamara khula maraz
be-dar-o-visal na ye jaega maraz
sach hai firaq-e-yar ka hai jaan-guza maraz
kya bad-bala hai ishq-e-kuhan-sal ka maraz
hota hai naujawan ko ye barha maraz
mohlik tha kaisa un ki mulaqat ka maraz
baDhte hi un se rabt mera ghaT gaya maraz
kya jaanen kaun rog hai ishq-e-bala-e-jaan
saya hai koi ya ki jhapaTTa hai ya maraz
isa ke pas bhi koi is ki dawa nahin
kahte hain jis ko ishq wo hai maut ka maraz
wada visal ka na koi sach kiya kabhi
tum ko bhi jhuT bolne ka ho gaya maraz
aaina-ru jahan koi dekha phisal gaya
aage hamare dil ko to aisa na tha maraz
buqraat kya masih bhi dekhen to den jawab
tere mariz-e-ishq ka hai la-dawa maraz
danton pe shefta the hue ab fida-e-lab
tha rog ek to ye hua dusra maraz
aaram dard-e-ishq se dil ko kamal hai
sehat se bhi aziz mujhe hai siwa maraz
waqif hain hum natija-e-azar-e-ishq se
be-gaur ke jhankae to ye ja chuka maraz
ulfat ke aarzi ki dawa hai ajal ke pas
jate hue kabhi nahin aisa suna maraz
kya kya taras taras ke nikalti hai jaan-e-zar
is ishq ka hai sab marazon se siwa maraz
dil ko hamare ulfat-e-ariz hai aarzi
kya ai 'qalaq' raha hai kisi ka sada maraz
(1848) Peoples Rate This