Partaw-e-ruKH Ka Tere Dil Mein Guzar Rahta Hai

partaw-e-ruKH ka tere dil mein guzar rahta hai

sath aaine ke aaine ka ghar rahta hai

aaj-kal josh pe ye dida-e-tar rahta hai

mardum-e-shahr ko tufan ka Dar rahta hai

qatl-e-ushshaq unhen madd-e-nazar rahta hai

nimcha aaTh-pahr zeb-e-kamar rahta hai

soz-e-ulfat ka hai parwana dil-e-bazm apna

ye wo pamba hai nihan jis mein sharar rahta hai

bazm-e-ulfat mein qadam rakhte hain jo log apna

shama ki tarah kaf-e-dast pe sar rahta hai

chashm-e-maigun se hai saqi ki mohabbat jis ko

nashsha-e-mai mein wo chor aaTh-pahr rahta hai

qaul-o-iqrar pe kyun chhoD diya dahan-e-yar

is nadamat se gareban mein sar rahta hai

ab to dam-bhar unhen fursat nahin aaraish se

aaina aaTh-pahr pesh-e-nazar rahta hai

kushta-e-tegh-e-nigah talib-e-didar rahen

chashm-e-jaanan ko ye manzur-e-nazar rahta hai

ye bhi hain us falak-e-husn ke juya meri tarh

chand suraj ko jo din-raat safar rahta hai

jab bigaDte hain to manne ka wo lete nahin nam

pahron apna qadam-e-yar pe sar rahta hai

bela baTenge sawari mein kisi gul ke ye kya

ghunchon ki muTThiyon mein kis liye zar rahta hai

main wo diwana hun jab fasl-e-bahaar aati hai

mere virane mein pariyon ka guzar rahta hai

wasl ki shab bhi nahin chain se kaTne pati

har-dam aazurdagi-e-yar ka Dar rahta hai

dekhne wale samajhte hain abas tar-e-nazar

meri aankhon mein tera mu-e-kamar rahta hai

ghair ke bas mein 'qalaq' kyun na ho wo sim-badan

qabu-e-yar mein ganjina-e-zar rahta hai

(782) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Partaw-e-ruKH Ka Tere Dil Mein Guzar Rahta Hai In English By Famous Poet Arshad Ali Khan Qalaq. Partaw-e-ruKH Ka Tere Dil Mein Guzar Rahta Hai is written by Arshad Ali Khan Qalaq. Read famous Poem Partaw-e-ruKH Ka Tere Dil Mein Guzar Rahta Hai for youth and Student by Arshad Ali Khan Qalaq. Free Download Partaw-e-ruKH Ka Tere Dil Mein Guzar Rahta Hai in PDF.