Nahin Chamke Ye Hansne Mein Tumhaare Dant Anjum Se
nahin chamke ye hansne mein tumhaare dant anjum se
nikal aai taDap kar barq aaghosh-e-tabassum se
karo tum mujh se baaten aur main baaten karun tum se
kalim-ullah ho jaun main ejaz-e-takallum se
sada-e-lan-tarani aati hai un ke takallum se
gira den tur-e-dil par saiqa barq-e-tabassum se
falak ko wajd hoga ai pari tere tabassum se
utar aaegi zohra raqs karti bazm-e-anjum se
ye shauq-e-mai-kashi majnun bana kar mujh ko laya hai
nikal aae kahin laila-e-mai bhi mahmil-e-KHam se
kiya danton ko rangin wah rahi baaton ki rangini
lagi aab-e-guhar mein aag lo barq-e-tabassum se
samand-e-naz ki Tapon se sar Takraen sab aashiq
pila sharbat shahadat ka kisi din kasa-e-sam se
jo wo mehr-e-siphar-e-husn nache apni mahfil mein
to zohra mashal-e-mah le ke aae bazm-e-anjum se
usi din phul hain jis din wo gul turbat pe aa baiThe
siwum se kuchh gharaz mujh ko na kuchh matlab hai panjum se
jo uljhe mohtasib maiKHane mein hum jaen masjid ko
KHuda ke ghar chalen sar phoD kar KHisht-e-sar-e-KHum se
firaq-e-yar mein meri tarah se ye bhi roe hain
sawad-e-shab nahin kajal baha hai chashm-e-anjum se
hua main rind-mashrab KHak mar kar is tamanna mein
namaz aaKHir paDenge wo kisi din to tayammum se
wahi chitwan wahi tewar meri aankhon mein phirte hain
ghazab mein paD gaya dekha abas tum ne tarahhum se
kahan tak eDiyan ragDen gala kaTo gala kaTo
uThao tum na KHanjar baz aaya is tarahhum se
jo wada karte ho to sadma-e-furqat na dikhlana
masiha hote ho mashhur ji uThta hun main tum se
mudallal jo suKHan apna hai wo burhan-e-qatea hai
tabiat mein rawani hai ziyaada haft-qulzum se
mare hain ishq mein ek gul ke kyun quran mangate ho
paDhi jae gulistan mein siwum mein bab-e-panjum se
jo pahunche ta-falak shohra tumhaari KHud-faroshi ka
KHaridari ko aae mushtari bazar-e-anjum se
ewaz chune ke gara lae mai ka chahiye saqi
hamari qabr agar pakki ho to KHisht-e-sar-e-KHum se
hamesha KHak chhanwaoge misl-e-qais sahra ki
'qalaq' ko ye na thi ummid ai laila-manash tum se
(881) Peoples Rate This