Na Wo KHushbu Hai Gulon Mein Na KHalish Khaaron Mein
na wo KHushbu hai gulon mein na KHalish KHaron mein
ek tere aate hi KHak uD gai gulzaron mein
chashm-o-abru-o-miza yar ki hain darpai jaan
ek dil ghir gaya hai itne dil-azaron mein
maraz-e-hijr se bachta nahin be-daru-e-wasl
hai ye aazar baDa ishq ke aazaron mein
tujh ko zebinda hai kya sadgi aur rangini
ek trahdar hai tu lakh tarah-daron mein
phir gai meri nazar mein mizha-o-chashm teri
dida-e-abla dekha jo ghira KHaron mein
be-gunahon ki hain abru-e-siyah tishna-KHun
nae jauhar nazar aae teri talwaron mein
aashiq-e-KHal-e-malih apna samajh kar bole
ki hamare ye qadimi hain namak-KHwaron mein
nawak-e-ah ne paida ki rah-e-amad-o-raft
saikDon ban gae dar yar ki diwaron mein
yusuf-e-dil ko hasinon se siwa samjhe aziz
pher deta ye DhinDhora koi bazaron mein
nam rakhne ki bhi uTh jae use kaifiyyat
dam-bhar aa baiThe jo waiz koi mai-KHwaron mein
aamad-e-fasl-e-bahaari ka jo hangama hai
ghul hai tauba-shikani ka tere mai-KHwaron mein
'qalaq' itni nahin har waqt koi bach karta
aap bhi hazrat-e-dil ke hain taraf-daron mein
(867) Peoples Rate This