Na Kal Tak The Wo Munh Lagane Ke Qabil
na kal tak the wo munh lagane ke qabil
hue aaj baaten banane ke qabil
teri bandagi aur siyahkar mujh sa
ye sar aur tere aastane ke qabil
lab-e-zaKHm-e-dil par ye hai shor qatil
teri tegh ka phal hai khane ke qabil
nikale sanam peT se panw tum ne
hue jab kahin aane-jaane ke qabil
dil-e-bul-hawas laeq-e-dagh-e-ulfat
ye darham na the is KHazane ke qabil
un aaina-ruyon ki ulfat ne ai dil
na rakkha hamein munh dikhane ke qabil
yahan sau hain khaTke chalo is chaman se
nahin ye jagah aashiyane ke qabil
patange hain gustaKH ai shama-paikar
nahin teri mahfil mein aane ke qabil
koi us ke duzd-e-hina se ye kah de
mera naqd-e-dil hai churane ke qabil
kabhi KHun mein mere bhi hath tar kar
ye mehndi hai tere lagane ke qabil
falak kya rulaya karega hamesha
kabhi hum bhi honge hansane ke qabil
mariz-e-mohabbat tumhaara hai laghar
nahin yar furqat uThane ke qabil
kise dekhen hum aur dikhlaen kis ko
na ab dekhne ne dikhane ke qabil
ghash ustadiyon par hain jaanen na puchhen
'qalaq' aise hain is zamane ke qabil
(1085) Peoples Rate This