Milta Hai Qaid-e-gham Mein Bhi Lutf-e-faza-e-bagh
milta hai qaid-e-gham mein bhi lutf-e-faza-e-bagh
chaak-e-qafas se aati hai farfar hawa-e-bagh
roke zaban na bulbul-e-bustan sara-e-bagh
dohrae phir mere se kaho majra-e-bagh
sunte hain ab ki aai hai kis dhum se bahaar
kya ji phaDak raha hai qafas mein barae bagh
kin chahchahon mein apni basar hoti thi mudam
ai ham-safir kya ho bayan majra-e-bagh
guzre nasim idhar se to puchhenge hum asir
hum ko bhi yaad karte hain naghma-sara-e-bagh
ai ham-safir ab to chale qaid ho ke hum
taqdir dekhiye hamein phir kab dikhae bagh
mujh mast ka chaman mein shanasa koi nahin
ek duKHt-e-raz qadim se hai aashna-e-bagh
pate hain sarw-e-gul mein teri shakl qadd-o-ruKH
furqat mein ji kahin nahin lagta siwae bagh
us din se apne bulbul-e-dil ko hai ishq-e-gul
gulzar-e-dahr mein hui jaise bina-e-bagh
milta nahin hai naKHl-e-tamanna se yan samar
phir koi kis umid pe is ja lagae bagh
nargis ki hai wo aankh na gul ka wo rang hai
chalti hai ab ki sal muKHalif hawa-e-bagh
ab chahchahe hain wo na nawa-sanjiyan hain wo
shayad guzar gaya 'qalaq'-e-KHush-nawa-e-bagh
(841) Peoples Rate This