Lutf-e-bahaar Mushfiq-e-man Dekhte Chalo
lutf-e-bahaar mushfiq-e-man dekhte chalo
bulbul ka Dhang rang-e-chaman dekhte chalo
bankon ko bankpan ko milao na KHak mein
tan tan ke yun na apna badan dekhte chalo
jate agar ho kucha-e-qatil ki sair ko
kapDa bhi thoDa bahr-e-kafan dekhte chalo
chashm-e-butan-e-dahr ki aafat hain shoKHiyan
sahra-e-husn ke bhi hiran dekhte chalo
kya kar rahi hai pesha-e-mashshatgi bahaar
aaraish-e-urus-e-chaman dekhte chalo
karti hai rah-e-shauq mein kis kis ko paemal
raftar-e-yar ke bhi chalan dekhte chalo
aae ho said-gah-e-jahan mein to ai 'qalaq'
tarz-e-shikar-e-tir-fagan dekhte chalo
(738) Peoples Rate This