LuTe Maze Jo Humne Tumhaare Ugal Ke
luTe maze jo hum ne tumhaare ugal ke
mar mar gae raqib lahu Dal Dal ke
be-yar dud-o-lukka mere aasman bana
saqi bana de mah piyala uchhaal ke
bigDe hue ho aaj banawaT na kijiye
ai jaan chhupte hain kahin tewar malal ke
pahuncha diya hai dam mein lab-e-baam-e-yar tak
qail hain hum to apni kamand-e-KHayal ke
duniya-e-dun ko aankh uTha kar na dekhiye
aashiq jawan hote hain kab pir-zal ke
apne hi silsile mein hai baiat unhen nasib
zulfon ke sab faqir hamare hain baal ke
TuTen na KHar aur kahin phuTen na aable
wahshat mein panw rakhte hain apna sambhaal ke
wahshat mein apne hath se pahuncha hamein gazand
pachhtae aastin mein hum sanp pal ke
hum un se aur wo hum se dam-e-sulh the KHajil
chhinTe laDa kiye araq-e-infial ke
be-yar mai-kashi bhi jo kije to gham ke sath
jam-o-subu banaiye gard-e-malal ke
dil mein tumhaari yaad bhi hai jaan lijiye
tir-e-nigah lagaiega dekh-bhaal ke
danton mein missi mal ke agar kijiye KHelal
nazron mein mail surma hon tinke KHelal ke
raftar-e-kilk qahr hai aafat sarir-e-kilk
mazmun jo likh raha hun tere bol-chaal ke
ham-mashrabon mein chal ke 'qalaq' mai-kashi karo
jhagDe wahan nahin hain haram-o-halal ke
(851) Peoples Rate This