LuT Rahi Hai Daulat-e-didar Qiasar-bagh Mein
luT rahi hai daulat-e-didar qiasar-bagh mein
misl-e-gul sab ho gae zardar qaisar-bagh mein
dekhte hain yar ka paDhta hai kalima kaun kaun
jama hain sab kafir-o-dinda qiasar-bagh mein
hum se aankh us ne laDai tewri badli ghair ne
chalte chalte rah gai talwar qiasar-bagh mein
us kaman-e-abru ne kin dil par nazar-andaziyan
hum pe tiron ki hui bauchhaar qiasar-bagh mein
gate hain murghan-e-gulshan peng deti hai sada
jabki jhula jhulta hai yar qiasar-bagh mein
be-KHudi chhai hui hai ye sharab-e-aish ki
mast do bahar paDe hain chaar qiasar-bagh mein
yan hawa mein hai dam-e-isa ka aalam kya ajab
pae sehat nargis-e-bimar qiasar-bagh mein
main to kya hote hain gul bhi kushta-e-tegh-e-KHiram
banki tirchhi chalte ho raftar qaisar-bagh mein
jalwa-afgan nur ke hain phul phal tuba ki tarf
KHuld se mangwae hain ashjar qiasar-bagh mein
ab to ai rashk-e-chaman surat dikhana chahiye
nala-kash hai andalib-e-zar qiasar-bagh mein
wo na the pahlu mein to us ne bhi ki pahlu-tahi
mujh se dil mein dil se tha bezar qiasar-bagh mein
daur-e-ishrat hai ye zoron par hain mai-kash kya ajab
mohtasib ki chhin len dastar qiasar-bagh mein
aamad aamad hai salami ko hamare shah ki
hain jawanan-e-chaman tayyar qiasar-bagh mein
mohtasib ke hath se tang is qadar hain ai 'qalaq'
aae hain nalish ko sab mai-KHwar qiasar-bagh mein
(796) Peoples Rate This