Junun Barsae Patthar Aasman Ne Mazra-e-jaan Par

junun barsae patthar aasman ne mazra-e-jaan par

jafa-e-pir sabqat le gai bedad-e-tiflan par

lagaya itr jab hum ne lab-e-rangin-e-jaanan par

to goya tel chhiDka aatish-e-lal-e-badaKHshan par

nahin ye moajiza mauquf kuchh musi-e-imran par

pyale hain yad-e-baiza kaf-e-pur-nur-e-mastan par

kabhi chalti nahin baad-e-bahaari apne gulshan mein

wo bulbul hun ki warafta hun main gul-ha-e-hirman par

bayaz-e-ku-e-jaanan bulbul-e-shiraaz gar dekhe

sifat us bostan ki likkhe auraq-e-gulistan par

kiya qatl us ne mujh ko main ne ki qatil ki aaraish

jamaya KHun ka lakha lab-e-shamshir-e-burran par

pas-e-diwar taDpoge kahan tak shauq kahta hai

kamand-e-ah se chaDh jao baam-e-qasr-e-jaanan par

tasawwur bandh gaya wahshat mein kis ke ru-e-raushan ka

ki aalam wadi-e-aiman ka hai apne bayaban par

hamesha sabz rahta hai gulistan jud-o-baKHshish ka

kabhi baad-e-KHizan chalte na dekhi bagh-e-ehsan par

hua jame se bahar kis qadar shauq-e-shahadat hai

paDi jis dam nazar qatil teri shamshir-e-uryan par

ye kis mehr-e-siphar-e-husn ne rakkhe qadam apne

guman-e-mahr hai har zarra-e-KHak-e-shahidan par

tumhaara muskurana jaanta hun jaan khoega

karegi ek din barq-e-tabassum KHirman-e-jaan par

nahin bas aaj-kal sultan iqlim-e-shahadat mein

hai apne nam ka sikka zar-e-ganj-e-shahidan par

miTa din teziyan ai zoaf tu ne dasht-e-wahshat mein

paDa hai surat-e-tar-e-gareban chaak-e-daman par

bana kar til ruKH-e-raushan pe wo shoKHi se kahte hain

ye kajal hum ne para hai charagh-e-mah-e-taban par

unhen parwa nahin hai kuchh na ho gar baD ka Dora

ki Dore Dalte hain yar ki hum tegh-e-uryan par

dahan ho us ke paida aur zaban us ki huwaida ho

zaban-e-zaKHm ko rakh dun zaban-e-tegh-e-burran par

paDa aks-e-shafaq to naz se kahne laga qatil

chaDha sone ka pani gumbad-e-qabr-e-shahidan par

hamare yar ne kin chhup ke baaten pyar ki hum se

lagaya aaj poshida ye marham zaKHm-e-pinhan par

agar raushan karun us ko charagh-e-dagh-e-sauda se

dhuan zanjir ban jae sar-e-sham-e-shabistan par

hua dhoka jo hum ko tegh-e-KHun-alud qatil ka

gala ragDa kiye hum mauja-e-KHun-e-shahidan par

mazamin us ke jab bandhe to bandish saf di hum ne

jila kar di hamesha gauhar-e-mazmun-e-dandan par

pas-e-murdan 'qalaq' ehsan kiya ye na-tawani ne

subuk mera janaza ho gaya dosh-e-azizan par

(851) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Junun Barsae Patthar Aasman Ne Mazra-e-jaan Par In English By Famous Poet Arshad Ali Khan Qalaq. Junun Barsae Patthar Aasman Ne Mazra-e-jaan Par is written by Arshad Ali Khan Qalaq. Read famous Poem Junun Barsae Patthar Aasman Ne Mazra-e-jaan Par for youth and Student by Arshad Ali Khan Qalaq. Free Download Junun Barsae Patthar Aasman Ne Mazra-e-jaan Par in PDF.