Jo Saqiya Tu Ne Pi Ke Hum Ko Diya Hai Jam-e-sharab Aadha

jo saqiya tu ne pi ke hum ko diya hai jam-e-sharab aadha

tu apne danton se kaT kar de hamare munh mein kabab aadha

wo pur-gunah hun ki rah gae sab usi mein din kaT gaya wo sara

hanuz mahshar ke mahkame mein hua tha mera hisab aadha

kahan gai ab wo lan-tarani na tab jalwe ki lae aashiq

hunuz khola tha bahr-e-didar us ne band-e-naqab aadha

jaza-e-kaamil jo chahta hai to zabh kar Dal jald qatil

na chhoDna mujh ko nim-bismil ki paega tu sawab aadha

dimagh dekho mere sanam ka gila jo karta hun main sitam ka

to dete hain sari baat ka wo mujhe ba-diqqat jawab aadha

safed-o-surKH hai aisi rangat ki jab bana hoga us ka putla

milaya howega us mein sanea ne maida aadha shahab aadha

dupaTTa aab-e-rawan ka sar ka jo us ki mahram se samjhe ye hum

ki bahr-e-husn-e-sanam ka hum ko diya dikhai habab aadha

ishaara hai saf ai 'qalaq' ye ki aao sahba-kashi ho baham

jo us ne bheji hai apni jhuTi sharab aadhi kabab aadha

(773) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Saqiya Tu Ne Pi Ke Hum Ko Diya Hai Jam-e-sharab Aadha In English By Famous Poet Arshad Ali Khan Qalaq. Jo Saqiya Tu Ne Pi Ke Hum Ko Diya Hai Jam-e-sharab Aadha is written by Arshad Ali Khan Qalaq. Read famous Poem Jo Saqiya Tu Ne Pi Ke Hum Ko Diya Hai Jam-e-sharab Aadha for youth and Student by Arshad Ali Khan Qalaq. Free Download Jo Saqiya Tu Ne Pi Ke Hum Ko Diya Hai Jam-e-sharab Aadha in PDF.