Ishq Mein Tere Jaan-e-zar Haif Hai Muft Mein Chali
ishq mein tere jaan-e-zar haif hai muft mein chali
tu ne par o sitam-shiar ab bhi meri KHabar na li
koi bala phir aaegi muft mein jaan jaegi
pech mein hum ko laegi zulf-e-siyah baDh chali
aate hi fasl-e-dil-pazir bole qafas mein ham-safir
jis mein hue the hum asir lo wahi phir hawa chali
ai gul-e-gulshan-e-wafa be-tire nind aae kya
bistar-e-KHar se siwa mujh ko hai farsh-e-maKHmali
KHwahish-e-justaju-e-yar had se bhi kuchh thi be-shumar
baad-e-fana mera ghubar DhunDh phira gali gali
danish-o-taqat-o-basar baDh gae sare ham-safar
zad-e-safar ki fikr kar lag rahi hai chala-chali
lao pyala-e-sharab ghir ke phir aaya hai sahab
ab nahin mere dil ko tab baad-e-bahaar phir chali
ai mah-e-asman-jah tujh sa nahin hai kaj-kulah
le ke falak charagh-e-mah DhunDh phira gali gali
mu-e-safed aa gaya dhabba KHizab ka laga
fasl-e-shaba-e-be-wafa dagh-e-firaq de chali
kabk ka dil hua figar mor ne jaan ki nisar
tegh-e-KHiram-e-naz-e-yar chaal nai nai chali
bhul ke koi dosto chahe na un hasinon ko
ab ye DhinDhora pher do lucknow mein gali gali
go thi ek aag mushtail ji tha par aisa muzmahil
sham-e-lahad bhi misl-e-dil gah bujhi kabhi jali
kahta hai shoKH-e-tund-KHu tab nahin dimagh ko
bais-e-dard-e-sar na ho bu-e-libas-e-sandali
sog mein apne zar ke yar-e-wafa-shiar ke
mehndi chhui na hath se missi na muddaton mali
hijr ki shab thi kya ghazab had ke sahe gham-o-tab
subh-e-visal aai ab jaan bachi bala Tali
koi nasim-e-subh se meri taraf se ye kahe
bagh-e-murad ki mere khil na saki koi kali
kya tere hath aa gaya kab ka tujhe ghubar tha
ku-e-sanam se kyun saba KHak meri uDa chali
dil hai bas ab alam se shaq yas se rang ruKH hai faq
dekhenge hum kab ai 'qalaq' aankhon se marqad-e-ali
(1008) Peoples Rate This