Huzur-e-ghair Tum Ushshaq Ki Tahqir Karte Ho

huzur-e-ghair tum ushshaq ki tahqir karte ho

mohabbat karne walon ki yahi tauqir karte ho

abas tum KHwahish-e-wasl-e-but-e-be-pir karte ho

jo qismat mein nahin hai us ki kya tadbir karte ho

zamin-o-asman ka farq hai KHurshid-o-zarre mein

muqabil chand se kya yar ki taswir karte ho

dam-e-aKHir laDe wahshi ke zindan mein ye ghul hoga

sitam karte ho viran KHana-e-zanjir karte ho

jo mujh sauda-zada ne ki kabhi tashrih zulfon ki

to bole hans ke kya uljhi hui taqrir karte ho

musafir ke liye hai fikr-e-gor ai munimo lazim

imarat kya sara-e-dahr mein tamir karte ho

sahar tak nind uD jati hai ham-sae ki to be-shak

asar kya KHak aur ai nala-e-shab-gir karte ho

jo mashq-e-harf-e-la karta hun kahte hain daqiqa-ras

muama-e-dahan-e-yar kya tahrir karte ho

abas dil toD kar yaad-e-butan mein mahw ho itna

KHuda ke ghar ko Dha kar but-kada tamir karte ho

hamare baad aaoge to kya ai nama-bar kahna

hum aaKHir hote hain aane mein tum taKHir karte ho

KHat-o-ruKH ki sifat mein raT lagi rahti hai jo tum ko

'qalaq' kya hifz quran ka ma-e-tafsir karte ho

(901) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Huzur-e-ghair Tum Ushshaq Ki Tahqir Karte Ho In English By Famous Poet Arshad Ali Khan Qalaq. Huzur-e-ghair Tum Ushshaq Ki Tahqir Karte Ho is written by Arshad Ali Khan Qalaq. Read famous Poem Huzur-e-ghair Tum Ushshaq Ki Tahqir Karte Ho for youth and Student by Arshad Ali Khan Qalaq. Free Download Huzur-e-ghair Tum Ushshaq Ki Tahqir Karte Ho in PDF.