Humne Ehsan Asiri Ka Na Barbaad Kiya
hum ne ehsan asiri ka na barbaad kiya
marte dam munh taraf-e-KHana-e-sayyaad kiya
ab ki sayyaad ne turfa sitam ijad kiya
be-par-o-baal samajh kar hamein aazad kiya
kya teri yaad karenge falak-e-na-insaf
dil-e-nashad hamara na kabhi shad kiya
dil pe sadme liye jaur-o-sitam KHuban ke
zabt dekho na kabhi wa lab-e-fariyaad kiya
aasman ki na shikayat na hasinon ka gila
dil-e-na-fahm ne mere mujhe barbaad kiya
itna shikwa hai KHayal-e-ruKH-e-jaanan se hamein
dil-e-viran na hamara kabhi aabaad kiya
shefta kar ke mujhe ek bune harjai par
KHub ruswa-e-jahan ai dil-e-nashad kiya
hath aaya koi mazmun naya to samjha
mujh ko farzand-e-KHuda ne mere imdad kiya
ishq-e-KHuban mein hua ranj to rahat samjha
shukr main ne ewaz-e-shikwa-e-bedad kiya
kufr-o-islam ke jhagDon se chhuDaya sad shukr
qaid-e-mazhab se junun ne mujhe aazad kiya
mahfil-e-ghair mein bulwa ke jalaya hum ko
tum ne KHalwat mein kisi din na hamein yaad kiya
jis mein mazmun raqam tha teri KHush-chashmi ka
to usi sher pe ustad ne bhi sad kiya
koh-e-gham hum ne bhi o ghairat-e-shirin kaTa
josh-e-ulfat mein tere pesha-e-farhad kiya
ek din bhi na hamara koi kahna mana
hum baja lae jo kuchh aap ne irshad kiya
tere diwanon ka kis dasht mein maskan na hua
kaun sa hai wo KHaraba jo na aabaad kiya
hasart-e-qatl hi ne jaan li apni sad shukr
maut ne hum ko na sharminda-e-jallad kiya
dekho is ishq-e-fusun-saz ke nairang aaKHir
jaan li qais ki TukDe sar-e-farhad kiya
lakh chaha magar ek shoKH hamara na hua
kya jawani ko 'qalaq' muft mein barbaad kiya
(793) Peoples Rate This