Hum To Hon Dil Se Dur Rahen Pas Aur Log
hum to hon dil se dur rahen pas aur log
sunghen gul-e-ezar ki bu-bas aur log
waiz hamein Dara na wafur-e-gunah se
us ke karam se hote hain be-as aur log
sauda-e-ishq yan to hai sar mein bhara hua
nam-e-junun se karte hain wiswas aur log
aazad-gan-e-ishq har ek haal mein hain shad
honge asir-o-ranj-o-gham-o-yas aur log
hain ser boriya-e-tawakkul ke faqa-mast
hote hain muztarib dam-e-iflas aur log
yan hai faqat hawas dur-e-dandan ke did ki
khate hain us ke danton pe almas aur log
sanjog ek apna tumhaara azal se hai
puchhen brahmanon se buto ras aur log
uTThe fana o ek na ek kya baid hai
ab baiThne lage hain tere pas aur log
us aab-e-lal par kabhi hum bhi muhit the
lab chus kar bujhae hain ab pyas aur log
hum to na ghar mein aap ke dam-bhar Thaharne paen
rose aaen jaen surat-e-anfas aur log
apne nasib mein to na ho aab-e-KHizr-e-lab
sairab hon ba-surat-e-ilyas aur log
diwan mein mere nahin bharti ke aise sher
bharte hain jaise safha-e-qirtas aur log
wo bewafa karega meri qadr kya 'qalaq'
karte hain apne aashiqon ka pas aur log
(769) Peoples Rate This