Hain Tegh-e-naz-e-yar Ke Bismil Alag Alag
hain tegh-e-naz-e-yar ke bismil alag alag
sine mein hain tapan jigar-o-dil alag alag
qatil to rashk dekh zara apne kushton ka
maqtal mein bhi taDapte hain bismil alag alag
kya intizam hai mere laila-jamal ka
majnun rawan hain sab pas-e-mahmil alag alag
dekho bashar mein sanat-e-KHallaq-e-rozgar
sab ek hain magar hai shamail alag alag
farmate hain milap ka karta hun jab sawal
tu baat karne ke nahin qabil alag alag
ek shefta hai zulf ka ek mubtala-e-ruKH
hain shaiKH-o-barahman tere qail alag alag
mere tumhaare bulbul-o-gul munh chaDhenge kya
donon ko kar chuka hun main qail alag alag
makr-o-nifaq ishq se muddat talak raha
main dil se aur mujh se mera dil alag alag
ta ho tamiz lazzat-e-baadam-o-shahd mein
boson ka chashm-o-lab ke hun sail alag alag
kis kis ko dun main saKHt musibat mein jaan hai
ruKHsar-o-zulf mangte hain dil alag alag
kya mehr-o-mah kya gul-o-shamshad aaina
sab ho chuke hain tere muqabil alag alag
yakta tu wo hai momin-o-kafir yahud-o-gabr
wahdat ke tere sab hain ye qail alag alag
pa-e-nigah-e-ahl-e-nazar ke paDe hain nil
ruKHsar-e-naznin pe nahin til alag alag
aage to sath rahte the hum haala san par ab
rahta hai hum se wo mah-e-kaamil alag alag
andaz-o-naz-o-ghamza-o-shoKHi-o-kajrawi
hain ek mere dam ke ye qatil alag alag
qabze pe hath rakh ke 'qalaq' ne milai aankh
kal har raqib se sar-e-mahfil alag alag
(858) Peoples Rate This