Gulon Par Saf Dhoka Ho Gaya Rangin KaTori Ka
gulon par saf dhoka ho gaya rangin kaTori ka
rag-e-gul mein jo aalam tha teri angiya ki Dori ka
barabar ek se misre nazar aate hain abru ke
tawarud kahiye ya hai ek mein mazmun chori ka
bahut gham khate khate ik-na-ik din jaan jaegi
zarar rakhta hai ai dilbar natija ser-KHori ka
hua hai hum ko ek mutrib pisar ki zulf ka sauda
hamara shor-e-wahshat bhi ye ek paTTa hai shori ka
KHafa ho galiyan do chaho aane do na aane do
main bose lunga sote mein mujhe lapka hai chori ka
agar tum bosa-e-seb-e-zaqan se ho gae qatil
gale par pher dije mere chaqu mewa-KHori ka
koi shaida-e-ariz hai koi zulfon ka diwana
kisi ko ishq kali ka koi aashiq hai gori ka
kahin ho achchhi surat dekh lun didar nazron se
meri aankhon ko choron ki tarah lapka hai chori ka
misi-alud lab chuse jo us ke balbe shirini
maza aaya mere munh mein siyah ponDe ki puri ka
shab-e-gham mein fughan karta hun jab tham jate hain aansu
tamasha dekho tifl-e-ashk bhi KHugar hai lori ka
na bandho sher mein duzd-e-hina ka ai 'qalaq' mazmun
kahega yar shoKHi se ye hai mazmun chori ka
(779) Peoples Rate This