Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_87368199e3ca71b696cd39ef1ce6eb8b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Gar Dil Mein Kar Ke Sair-e-dil-e-dagh-dar Dekh - Arshad Ali Khan Qalaq Poetry In English - Darsaal

Gar Dil Mein Kar Ke Sair-e-dil-e-dagh-dar Dekh

gar dil mein kar ke sair-e-dil-e-dagh-dar dekh

ai jaan KHana-e-bagh ki aa kar bahaar dekh

pachhtaega jo hath se tu khoega hamein

hum tujh se saf kahte hain o bad-shiar dekh

main kya wahan pe gor tujhe de abhi jawab

turbat pe meri aa ke zara tu pukar dekh

bahar hon apne jame se gul bulbulen to kya

gulshan mein imtihan ko poshak utar dekh

ab mujh mein tujh mein ek sar-e-mu nahin hai farq

mu-e-miyan mila ke mera jism-e-zar dekh

baad-e-fana bhi wa rahin aankhen to aaya tu

wada-KHilafi apni mera intizar dekh

hai nur-e-husn mane-e-didar-e-ru-e-yar

aankhen ye kah rahi hain use bar bar dekh

tu tegh-e-tez khinche hai main sar jhukae hun

apne sitam ko dekh mera inkisar dekh

darpai hue hain jaan ke iman to le chuke

but karte hain sitam mere parwardigar dekh

panjon ke bal zamin pe na chal bankpan ko chhoD

manind-e-naqsh-e-pa hai ye na-paedar dekh

dikhla de minh barasne mein bijli ka kaundna

hans hans ke jaanib-e-miza-e-ashk-bar dekh

kotah umr ho gai aur ye na kam hui

ai jaan aa ke tul-e-shab-e-intizar dekh

bad-waza hum ko kah ke bana nek tu che KHush

atwar apne dekh hamara shiar dekh

bijli girai ghair siyah-ru par ai 'qalaq'

tasir-e-garm aah-e-dil-e-be-qarar dekh

(802) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gar Dil Mein Kar Ke Sair-e-dil-e-dagh-dar Dekh In English By Famous Poet Arshad Ali Khan Qalaq. Gar Dil Mein Kar Ke Sair-e-dil-e-dagh-dar Dekh is written by Arshad Ali Khan Qalaq. Read famous Poem Gar Dil Mein Kar Ke Sair-e-dil-e-dagh-dar Dekh for youth and Student by Arshad Ali Khan Qalaq. Free Download Gar Dil Mein Kar Ke Sair-e-dil-e-dagh-dar Dekh in PDF.