Dil Mein Aate Hi KHushi Sath Hi Ek Gham Aaya

dil mein aate hi KHushi sath hi ek gham aaya

id aai to main samjha ki moharram aaya

KHun-e-dil ho gaya shayad dam-e-girya jo aaj

ewaz-e-ashk lahu aankhon se paiham aaya

nazuki kahte hain us ko ki hazaron bal khate

ta-kamar yar ka jab gesu-e-pur-KHam aaya

dil mein hai jalwa-kunan chah-e-zanaKHdan ka KHayal

ain kabe mein nazar chashma-e-zamzam aaya

phir bahaar aaegi phir dagh-e-junun chamkenge

phir su-e-burj-e-hamal nayyar-e-azam aaya

pak-daman hai to aisa ki pae sidq-kalam

shan-e-ismat mein teri sura-e-mariyam aaya

di duhai teri rahmat ki gunahgaron ne

lab-e-waiz pe junhi nam-e-jahannam aaya

dasht-e-ghurbat mein ba-juz bekasi-o-yas-o-alam

qabr-e-majnun pe na koi pae matam aaya

sher-goi hai wo shai jin ka sila dene ko

KHwab-e-firdausi-e-KHush-fikr mein rustam aaya

phir gaya aankhon mein us kan ke moti ka KHayal

gosh-e-gul tak na koi qatra-e-shabnam aaya

jite-ji hi ke the sab yar pas-e-marg 'qalaq'

gor par koi na gham-KHwar na hamdam aaya

(753) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Mein Aate Hi KHushi Sath Hi Ek Gham Aaya In English By Famous Poet Arshad Ali Khan Qalaq. Dil Mein Aate Hi KHushi Sath Hi Ek Gham Aaya is written by Arshad Ali Khan Qalaq. Read famous Poem Dil Mein Aate Hi KHushi Sath Hi Ek Gham Aaya for youth and Student by Arshad Ali Khan Qalaq. Free Download Dil Mein Aate Hi KHushi Sath Hi Ek Gham Aaya in PDF.