Danton Se Jabki Us Gul-e-tar Ke Dabae HonTh
danton se jabki us gul-e-tar ke dabae honTh
bola ki sahab apne se samjho parae honTh
us ghairat-qamar ke agar dekh pae honTh
lal-e-yaman bhi rashk se apna chabae honTh
phulon se us ke jabki chaman mein milae honTh
nazuk ziyaada rag se saman ke bhi pae honTh
samjha main KHizr-e-chashma-e-ab-e-hayat hun
honThon se mere us ne jo apne milae honTh
manga jo bosa yar se main ne shab-e-visal
az-KHud maze mein aa ke mere kaT khae honTh
kya kya sifat zaban se sausan ki bhi suni
mal kar misi chaman mein jo us ne dikhae honTh
surKHi ne un labon ki kiya aashiqon ka KHun
lali jami jo paT ke to kya rang lae honTh
honThon mein dab kar jo gilauri di yar ne
kya dant pise ghairon ne kya kya chabae honTh
pani bhar aae misriyon ke munh mein waqt-e-did
shirin ki ral Tapke jo wo dekh pae honTh
dam aa gaya labon pe ye Dahkaya yar ne
sau bar pas honThon ke la kar haTae honTh
shirin-labi to dekhna wo neshkar bani
quliyan ki nai se us ne jo apne lagae honTh
bose dahan ke is ke nahin bhulte 'qalaq'
kahta hun hae dant kabhi gah hae honTh
(757) Peoples Rate This