Daftar Jo Gulon Ke Wo Sanam Khol Raha Hai
daftar jo gulon ke wo sanam khol raha hai
aghyar to kya dil bhi idhar bol raha hai
aasar-e-rihai hain ye dil bol raha hai
sayyaad sitamgar mere par khol raha hai
ghairon se mere waste jo bol raha hai
aab-e-dard-e-nida nahin wo sam ghol raha hai
kis kis ka nahin tair-e-dil dam mein us ke
tuti KHatt-e-ariz ka tere bol raha hai
jame se hua jata hai bahar jo har ek gul
kya bagh mein wo band-e-qaba khol raha hai
shahon ki tarah ki hai basar dasht-e-junun mein
diwanon ka ham-rah mere ghol raha hai
kya kya nahin dukh qaid musibat ke sahe hain
barson dil-e-nashad meri awwal raha hai
raqs aap ka jo dekh ke behaal hua tha
ghunghru usi pamal ka ab bol raha hai
yaad aati hai kis but ki mere KHana-e-dil mein
chhati ke kiwaD aaj koi khol raha hai
karne ko hai said aaj kisi tair-e-dil
shahin nigah-e-yar ka par tol raha hai
taskin ko ye kahte rahe furqat ki shab ahbab
lo subh hui murgh-e-sahar bol raha hai
bulbul hai fida karti nahin naqd-e-dil us par
gulzar mein ghuncha bhi girah khol raha hai
danai se KHali tha na diwana-pan us ka
duniya mein baDi chain se bahlol raha hai
maqtal mein gire paDte hain jaanbaz pe jaanbaz
talwar se KHak khaDa rol raha hai
dil to diya mizan nahin paTti nazar aati
nazron mein wo KHush-chashm mujhe taul raha hai
sanduqcha argan ka hai ya KHana-e-sayyaad
har murgh-e-nafas hank nai bol raha hai
miTte nahin dekhi hai shikan hum ne jabin ki
jab farsh par us ke kahin kuchh jhol raha hai
mahrum thin rah gae kahte hain ye sab log
jaan-bazon ko kas kar wo kamar khol raha hai
kya garm hai bazar-e-KHaridari-e-bulbul
gulzar mein kanTa zar-e-gul tol raha hai
kam qadr kabhi dekhi nahin jins-e-mohabbat
sauda ye hamesha 'qalaq' anmol raha hai
(907) Peoples Rate This