Be-zabanon Ko Bhi Goyai Sikhana Chahiye

be-zabanon ko bhi goyai sikhana chahiye

kalima angusht-e-shahadat ko paDhana chahiye

KHal ruKHsar-e-munawwar ka dikhana chahiye

chand mein ai mehr-wash dhabba lagana chahiye

tel meri aankh ke til ka lagana chahiye

gesuon mein panja-e-mizhgan ka shana chahiye

bahr-e-zinat daman-e-shamshir mein o jang-ju

meri gardan ka tujhe paTTha lagana chahiye

aaj-kal mahw-e-safa-e-ariz-e-dil-dar hun

mere rahne ko ab aaine ka KHana chahiye

ghaT par talwar ke nahlaiyo mayyat meri

kushta-e-abru hun main kya ghusl-KHana chahiye

ai pari hai kis qadar aDiyal mera shab-dez-e-fikr

choTi ke mazmun ka us ko taziyana chahiye

tair-e-rang-e-hina ka murgh-e-jaan hota jalis

ab nagine ke shajar par aashiyana chahiye

KHat mein likkhi hai haqiqat dasht-gardi ki agar

nama-bar jangali kabutar ko banana chahiye

josh-e-wahshat kah raha hai nikhat-e-gul ki tarah

aaj to diwar-e-gulshan phand jaana chahiye

wasf-e-dandan mein dur-e-mazmun ki hai hum ko talash

bahr-e-fikrat mein dila ghota lagana chahiye

chin-e-gesu se dikha do KHal-e-ariz ki bahaar

mere murgh-e-ruh ko ye dam dana chahiye

is tamanna par hua hun KHak main o jang-ju

meri miTTi ke tujhe meinDhe laDana chahiye

aariz-e-taban ke qul par bahr-e-daf-e-chashm-e-bad

KHal-e-ruKHsar-e-pari ka kala dana chahiye

panja-e-gulgun ke o gul hum hue hain andalib

panj-shaKHe par hamara aashiyana chahiye

chal nahin sakta hamara tausan-e-umr-e-rawan

baDh ke Dori ka qatil taziyana chahiye

baad muddat zinat-e-pahlu hua hai wo pari

aaj to ai dil tujhe baghlen bajaana chahiye

hun main ai jarrah zaKHmi tegh-e-naz-e-yar ka

Tanke bhi gardan ke Dori se lagana chahiye

atlas-e-gardun se atlas hai fuzun ai mah-ru

kahkashan ka tere shimle mein batana chahiye

nashsha hain ek bahr-e-KHubi ke hamari qabr par

chadar-e-ab-e-rawan ka shamiyana chahiye

midhat-e-saqi-e-kausar tujh ko likhni hai 'qalaq'

pahle aab-e-hauz-e-kausar se nahana chahiye

(954) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Be-zabanon Ko Bhi Goyai Sikhana Chahiye In English By Famous Poet Arshad Ali Khan Qalaq. Be-zabanon Ko Bhi Goyai Sikhana Chahiye is written by Arshad Ali Khan Qalaq. Read famous Poem Be-zabanon Ko Bhi Goyai Sikhana Chahiye for youth and Student by Arshad Ali Khan Qalaq. Free Download Be-zabanon Ko Bhi Goyai Sikhana Chahiye in PDF.