Bashar Ke Faiz-e-sohbat Se Liyaqat Aa Hi Jati Hai
bashar ke faiz-e-sohbat se liyaqat aa hi jati hai
pari-zadon ko aaKHir aadamiyat aa hi jati hai
jawani se diya wo hote hain ghafil zaifi mein
nasim-e-subh chalti hai to ghaflat aa hi jati hai
kilid-e-qufl mushkil hoti hai dad-o-dahish aaKHir
saKHi ke ek din aaDe saKHawat aa hi jati hai
raqib us shoKH se jab garmiyan karte hain mahfil mein
nahin qabu mein dil rahta hararat aa hi jati hai
hamein bhi yaad kar lete hain wo bhule se sohbat mein
kabhi hum be-nasibon ki bhi naubat aa hi jati hai
tabiat ko na kyunkar ghair ke mazmun se nafrat ho
ki jhuTi chiz se aksar karahat aa hi jati hai
baja kahte hain jo kahte hain ye KHidmat se azmat hai
ki kaam insan ke ek din riyazat aa hi jati hai
ajab sar-garm-e-koshish ho muqaddar mein jo hoti hai
to hath insan ke ek roz daulat aa hi jati hai
tassuf karte hain wo dekh kar mera dil-e-viran
KHarabe par guzarte hain to ghairat aa hi jati hai
dabaya jab raqibon ko to bole yar kya kahna
jo arbab-e-haya hain un ko ghairat aa hi jati hai
hasinon ko hi zeba husn-e-surat par ghurur apne
har ek arbab-e-daulat ko raunat aa hi jati hai
ajab shai hai KHushi bhi sun ke wasl-e-yar ka muzhda
mariz-e-hijr ke chehre pe wahshat aa hi jati hai
chhupane se nahin chhupta hai husn-e-dil-kash-e-alam
kahin ho dekhne mein achchhi surat aa hi jati hai
sikha deta hai iqbaal aadmi ko nek-o-bad aaKHir
ye daulat hai wo shai shan-e-riyasat aa hi jati hai
tawajjoh munimon ki nafa se KHali nahin hoti
hawa-e-gosha-e-daman-e-daulat aa hi jati hai
sitam-dida jo hain wo zikr-e-afat se bhi Darte hain
'qalaq' nam-e-shab-e-furqat se dahshat aa hi jati hai
(832) Peoples Rate This