Aariz Mein Tumhaare Kya Safa Hai
aariz mein tumhaare kya safa hai
munh aaina apna dekhta hai
dumbaala jo surme ka bana hai
ye tegh-e-nigah ka par tula hai
bimar jo teri chashm ka hai
nargis pe kab aankh Dalta hai
do lakh fareb-e-hazrat-e-ishq
banda na kahega but KHuda hai
sab kahte hain jis ko mah-e-kaamil
naqsha kaf-e-pa-e-yar ka hai
gardish mein hai chashm zer-e-abru
kya nimcha charKH par chaDha hai
mara hai dikha ke dast-e-rangin
shahid mere KHun ki hina hai
phir aae bahaar phir ho wahshat
dil rose duaen mangta hai
kanTon se ye kah rahi hai laila
majnun mera barahna-pa hai
joban pe hain ab to anar-e-pistan
naKHl-e-qad-e-yar kya phala hai
be-wajh jo phir gae ho phir jao
bande ka bhi ai buto KHuda hai
jo chaho karo ki tum ho muKHtar
majbur hun zor kya mera hai
karti nahin kyun safar meri ruh
kya band adam ka rasta hai
rone mein hain yaad dant us ke
har ku har ashk be-baha hai
wasf us ka 'qalaq' ho kis zaban se
wo but ek qudrat-e-KHuda hai
(893) Peoples Rate This