Aaenge Wo To Aap Mein Hargiz Na Aaenge
aaenge wo to aap mein hargiz na aaenge
hum apni be-KHudi ke tamashe dikhaenge
hum naqd-e-dil jo sine mein apne na paenge
duzd-e-nigah-e-yar ko chori lagaenge
ai be-KHudi jo aap mein hum ab ki aaenge
phir dil-lagi se bhi nahin dil ko lagaenge
jab su-e-dasht aap ke diwane jaenge
farhad-o-qais dur talak lene aaenge
parwana wo kahenge to hum un ko shoala-ru
hum bhi jalaenge jo wo hum ko jalaenge
kyun dabte hain honTh wo danton mein bar bar
kya tegh-e-lab ko aab-e-guhar mein bujhaenge
dam-e-bala se dekhiye kyunkar najat ho
kab tak wo hum ko zulf ki galiyan jhakaenge
wahshi-e-chashm-e-yar jo niklega shahr se
aankhon ko Dhele aahu-e-sahra lagaenge
huron se chal ke dad-e-jamal us ki lenge hum
taswir-e-yar qasr-e-jinan mein lagaenge
uTThenge phir na baiTh ke manind-e-naqsh-e-pa
hum apne zoaf ki tumhein taqat dikhaenge
jage hue firaq ke sote hain zer-e-KHak
bad-KHwab hon ke hum jo farishte jagaenge
lene mein jins-e-dil ke to ujlat kamal hai
dene mein naqd-e-wasl ke barson jhakaenge
garm-e-KHiram honge agar sehn-e-bagh mein
angaron par wo kabk-e-chaman ko luTaenge
sina-sipar hain aashiq-e-jaan-baz saikaDon
tegh-e-nigah-e-naz wo kab aazmaenge
ab ki to hijr-e-yar mein hum gor jhank aae
jite hain to kisi se na phir dil lagaenge
ai shahsawar-e-naz ye miTta hai bar bar
tere samand-e-husn ko hum KHud banaenge
hum kyun itaat in ki karen faeda 'qalaq'
kya ye butan-e-dahr KHuda se milaenge
(878) Peoples Rate This