Rukte Hue Qadmon Ka Chalan Mere Liye Hai
rukte hue qadmon ka chalan mere liye hai
sayyara-e-hairat ki thakan mere liye hai
koi mera aahu mujhe la kar nahin deta
kahte to sabhi hain ki KHutan mere liye hai
tap si mujhe aa jati hai aaghosh mein us ki
wo barf ke gale sa badan mere liye hai
hain ju-e-tab-o-tab pe anwar ke pyase
aur sham ka ye sanwala-pan mere liye hai
qandhaar na kabul na yaman mere liye hai
miTTi ke ujaDne ki chubhan mere liye hai
barut mein bhunte hue alfaz o mafahim
ab to yahi taswir-e-suKHan mere liye hai
duniya hi nahin KHud se KHafa rahta hun 'arshad'
jine ka ye andaz hi fan mere liye hai
(750) Peoples Rate This