Mujh Sa Betab Yahan Koi Nahin Mere Siwa
mujh sa betab yahan koi nahin mere siwa
yani barbaad-e-jahan koi nahin mere siwa
raushni thi to kai sae nazar aate the
tirgi hai to yahan koi nahin mere siwa
bhiD mein ek taraf gosha-e-iKHlas bhi hai
ghaur se dekh wahan koi nahin mere siwa
shahr mere hi bharose pe ho KHufta jaise
hadaf-e-shor-e-sagan koi nahin mere siwa
sar-bulandi meri tanhai tak aa pahunchi hai
main wahan hun ki jahan koi nahin mere siwa
sher mein ghair ki tashbih kahan se aae
meri manind yahan koi nahin mere siwa
chain likhta hai mere KHwab ka rawi 'rashid'
is samundar mein rawan koi nahin mere siwa
(805) Peoples Rate This