Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_53bac060bc08e952d49c1262240f2e87, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ghazal Mein Jaan PaDi Guftugu Mein Phul Khile - Arshad Abdul Hamid Poetry In English - Darsaal

Ghazal Mein Jaan PaDi Guftugu Mein Phul Khile

ghazal mein jaan paDi guftugu mein phul khile

meri nawa se dayar-e-numu mein phul khile

mere hi sher uchhaale mere harifon ne

mere tufail zaban-e-adu mein phul khile

unhen ye zom ki be-sud hai sada-e-suKHan

hamein ye zid ki isi hao-hu mein phul khile

ye kis ko yaad kiya ruh ki zarurat ne

ye kis ke nam se mere lahu mein phul khile

bahaar ab ke na Thahri kisi bhi qarye mein

na bagh-e-KHwab na sahra-e-hu mein phul khile

zamin-e-kufa ko yun hi KHarab rahna tha

to kis liye ye sinan-o-gulu mein phul khile

mere junun se pas-e-dasht-e-jaan ghubar uTha

mere lahu se dar-e-ru-ba-ru mein phul khile

kabhi kamand koi mauj Dal de 'arshad'

kabhi hawa-e-sar-e-abju mein phul khile

(891) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghazal Mein Jaan PaDi Guftugu Mein Phul Khile In English By Famous Poet Arshad Abdul Hamid. Ghazal Mein Jaan PaDi Guftugu Mein Phul Khile is written by Arshad Abdul Hamid. Read famous Poem Ghazal Mein Jaan PaDi Guftugu Mein Phul Khile for youth and Student by Arshad Abdul Hamid. Free Download Ghazal Mein Jaan PaDi Guftugu Mein Phul Khile in PDF.