Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_60cf9548cb994a773dd75eb038ac887c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
GhaTaen Ghirti Hain Bijli KaDak Ke Girti Hai - Arshad Abdul Hamid Poetry In English - Darsaal

GhaTaen Ghirti Hain Bijli KaDak Ke Girti Hai

ghaTaen ghirti hain bijli kaDak ke girti hai

ye kis ki pyas hai jo be-qarar phirti hai

ajib KHauf ki basti hai ye diya hi nahin

hawa bhi KHwahish-e-dil ko chhipae phirti hai

nazar na pher nadamat ko sair hone de

ye badli dil mein kahan roz roz ghirti hai

sameT leti hai har shai ko apne paikar mein

shabih kis ki hai jo putliyon mein phirti hai

haweli chhoDne ka waqt aa gaya 'arshad'

sutun larazte hain aur chhat ki miTTi girti hai

(696) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

GhaTaen Ghirti Hain Bijli KaDak Ke Girti Hai In English By Famous Poet Arshad Abdul Hamid. GhaTaen Ghirti Hain Bijli KaDak Ke Girti Hai is written by Arshad Abdul Hamid. Read famous Poem GhaTaen Ghirti Hain Bijli KaDak Ke Girti Hai for youth and Student by Arshad Abdul Hamid. Free Download GhaTaen Ghirti Hain Bijli KaDak Ke Girti Hai in PDF.