Ghalat Nahin Hai Dil-e-sulh-KHu Jo Bolta Hai
ghalat nahin hai dil-e-sulh-KHu jo bolta hai
magar ye harf-e-baghawat lahu jo bolta hai
mere ujaDne ki takmil kab hui jaanan
daraKHt-e-yaad ki Tahni pe tu jo bolta hai
sar-sukut-e-adam kis ke honT hilte hain
koi to hai pas-e-diwar-e-hu jo bolta hai
zamane teri haqiqat samajh mein aati hai
hawa ki thap se KHali subu jo bolta hai
nafasaton ka qarina hai teri KHamoshi
magar ye jeb ka tar-e-rafu jo bolta hai
idhar ye kan hain qahr-e-KHizan jo sunte hain
udhar wo peD hai sehr-e-numu jo bolta hai
nafas ke jal mein kab qaid ho saka 'arshad'
wo ek parind-e-fana ku-ba-ku jo bolta hai
(763) Peoples Rate This