Zanjir Se UThti Hai Sada Sahmi Hui Si
zanjir se uThti hai sada sahmi hui si
jari hai abhi gardish-e-pa sahmi hui si
dil TuT to jata hai pe girya nahin karta
kya Dar hai ki rahti hai wafa sahmi hui si
uTh jae nazar bhul ke gar jaanib-e-aflak
honTon se nikalti hai dua sahmi hui si
han hans lo rafiqo kabhi dekhi nahin tum ne
namnak nigahon mein haya sahmi hui si
taqsir koi ho to saza umr ka rona
miT jaen wafa mein to jaza sahmi hui si
han hum ne bhi paya hai sila apne hunar ka
lafzon ke lifafon mein baqa sahmi hui si
har luqme pe khaTka hai kahin ye bhi na chhin jae
mede mein utarti hai ghiza sahmi hui si
uThti to hai sau bar pe mujh tak nahin aati
is shahr mein chalti hai hawa sahmi hui si
hai 'arsh' wahan aaj muhit ek KHamoshi
jis rah se guzri thi qaza sahmi hui si
(1065) Peoples Rate This