Hairan Hun Ki Ye Kaun Sa Dastur-e-wafa Hai
hairan hun ki ye kaun sa dastur-e-wafa hai
tu misl-e-rag-e-jaan hai to kyun mujh se juda hai
tu ahl-e-nazar hai to nahin tujh ko KHabar kyun
pahlu mein tere koi zamane se khaDa hai
likkha hai mera nam samundar pe hawa ne
aur dono ki fitrat mein sukun hai na wafa hai
main shahr-o-bayaban mein tujhe DhunDh chuka hun
be-dard tu kis hajla-pinhan mein chhupa hai
hum rakhte hain dawa ki hai qabu hamein dil par
tu samne aa jae to ye baat juda hai
main dozaKH-e-jaan mein bhi raha mahw-e-tag-o-taz
ai KHaliq-e-aflaq tujhe to ye pata hai
gham hai ki musalsal usi shiddat se hai jari
yun kahne ko is umr ka har lamha naya hai
har samt hawa tez faza ta-ba-ufuq tang
dil zarra-e-sahra hai bagulon mein ghira hai
kyun jage hue shahr mein tanha hai har ek shaKHs
ye raushni kaisi hai ki saya bhi juda hai
ai dawar-e-mahshar tujhe KHud teri qasam hai
insaf se kah dil kabhi tera bhi phaTa hai
mahsus kiya hai kabhi tu ne bhi wo KHanjar
gham ban ke jo har shaKHs ke sine mein gaDa hai
Thahrae use 'arsh' koi kaise jafa-kesh
jo mujh se alag rah ke bhi hamrah chala hai
(1133) Peoples Rate This