Gham Ki Garmi Se Dil Pighalte Rahe
gham ki garmi se dil pighalte rahe
tajrabe aansuon mein Dhalte rahe
ek lamhe ko tum mile the magar
umr bhar dil ko hum masalte rahe
subh ke Dar se aankh lag na saki
raat bhar karwaTen badalte rahe
zahr tha zindagi ke kuze mein
jaante the magar nigalte rahe
dil raha sarKHushi se begana
garche arman bahut nikalte rahe
apna azm-e-safar na tha apna
hukm milta raha to chalte rahe
zindagi sarKHushi junun wahshat
maut ke nam kyun badalte rahe
ho gae jin pe karwan pamal
sab unhi raston pe chalte rahe
dil hi gar bais-e-halakat tha
ruKH hawaon ke kyun badalte rahe
ho gae KHamushi se hum ruKHsat
sare ahbab hath malte rahe
har KHushi 'arsh' wajh-e-dard bani
farsh-e-shabnam pe panw jalte rahe
(1086) Peoples Rate This