Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_88fd0ae053b356a430235ba9ccb44447, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Darwaza Tere Shahr Ka Wa Chahiye Mujhko - Arsh Siddiqui Poetry In English - Darsaal

Darwaza Tere Shahr Ka Wa Chahiye Mujhko

darwaza tere shahr ka wa chahiye mujh ko

jina hai mujhe taza hawa chahiye mujh ko

aazar bhi the sab se ziyaada meri jaan par

altaf bhi auron se siwa chahiye mujh ko

wo garm hawaen hain ki khulti nahin aankhen

sahra main hun baadal ki rida chahiye mujh ko

lab si ke mere tu ne diye faisle sare

ek bar to bedard suna chahiye mujh ko

sab KHatm hue chah ke aur KHabt ke qisse

ab puchhne aae ho ki kya chahiye mujh ko

han chhuTa mere hath se iqrar ka daman

han jurm-e-zaifi ki saza chahiye mujh ko

mahbus hai gumbad mein kabutar meri jaan ka

uDne ko falak-bos faza chahiye mujh ko

samton ke tilismat mein gum hai meri taid

qibla to hai ek qibla-numa chahiye mujh ko

main pairwi-e-ahl-e-siyasat nahin karta

ek rasta in sab se juda chahiye mujh ko

wo shor tha mahfil mein ki chilla uTha 'waiz'

ek jam-e-mai-e-hosh-ruba chahiye mujh ko

taqsir nahin 'arsh' koi samne phir bhi

jita hun to jine ki saza chahiye mujh ko

(1600) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Darwaza Tere Shahr Ka Wa Chahiye Mujhko In English By Famous Poet Arsh Siddiqui. Darwaza Tere Shahr Ka Wa Chahiye Mujhko is written by Arsh Siddiqui. Read famous Poem Darwaza Tere Shahr Ka Wa Chahiye Mujhko for youth and Student by Arsh Siddiqui. Free Download Darwaza Tere Shahr Ka Wa Chahiye Mujhko in PDF.