Bas Ek Hi Kaifiyyat-e-dil Subh-o-masa Hai
bas ek hi kaifiyyat-e-dil subh-o-masa hai
har lamha meri umr ka zanjir-ba-pa hai
main shahr ko kahta hon bayaban ki yahan bhi
saya teri diwar ka kab sar pe paDa hai
hai waqt ki kahta hai rukunga na main ek pal
tu hai ki abhi baat meri tol raha hai
main bazm se KHakistar-e-dil le ke chala hun
aur samne tanhai ke sahra ki hawa hai
aawaz ka tesha hai na KHamosh takallum
tala jo zaban par tha wo ab dil pe paDa hai
main sath liye phirta hun saman-e-halakat
rag rag mein meri zahr-e-wafa dauD raha hai
kya kya hain tamannaen dil-e-KHak-basar mein
ye qafila virane mein kyun Thahra hua hai
(1034) Peoples Rate This