Aankhon Mein Kahin Uske Bhi Tufan To Nahin Tha
aankhon mein kahin us ke bhi tufan to nahin tha
wo mujh se juda ho ke pasheman to nahin tha
kyun mujh se na ki us ne sar-e-bazm koi baat
main sang-e-malamat se gurezan to nahin tha
han harf-e-tasalli ke liye tha main pareshan
pahlu mein mere dil tha kuhistan to nahin tha
kyun rasta dekha kiya us ka main sar-e-sham
be-dard ka mujh se koi paiman to nahin tha
jalwa tha tera aag mein har lahza huwaida
warna mujhe jal marne ka arman to nahin tha
tha dil bhi kabhi shahr-e-tamanna se mumasil
ye qarya hamesha se bayaban to nahin tha
tufan-e-alam kyun mujhe sahil pe utara
main shor-e-talatum se hirasan to nahin tha
rakkha tha chhupa kar jise alfaz mein main ne
parde mein suKHan ke bhi wo uryan to nahin tha
kahte hain ki hai 'arsh' nigun pae nabi par
aisa wo koi sahab-e-iman to nahin tha
(1419) Peoples Rate This