Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_23a67660d2226cd5ae0bc00b0985350f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Zindagi Kuchh Soz Hai Kuchh Saz Hai - Arsh Sahbai Poetry In English - Darsaal

Zindagi Kuchh Soz Hai Kuchh Saz Hai

zindagi kuchh soz hai kuchh saz hai

dur tak bikhri hui aawaz hai

KHamushi us ki hai misl-e-guftugu

har nazar jazbaat ki ghammaz hai

kis tarah zinda hun tujh ko dekh kar

zindagi mujh par tabassum-saz hai

jaan-faza naghmat ka KHaliq hai ye

dil agarche ek shikasta saz hai

is tarah qaem hai raqs-e-zindagi

saz us ka hai meri aawaz hai

kya bataun aaj ke is daur mein

aadmi kitna zamana-saz hai

is liye rakhta hun main us ko aziz

haq-parasti ruh ki aawaz hai

baKHtan hai pattharon ki sarzamin

phir bhi mujh ko is pe kitna naz hai

manzil-e-maqsud tak pahunchegi 'arsh'

ruk na paegi meri aawaz hai

(1521) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Zindagi Kuchh Soz Hai Kuchh Saz Hai In English By Famous Poet Arsh Sahbai. Zindagi Kuchh Soz Hai Kuchh Saz Hai is written by Arsh Sahbai. Read famous Poem Zindagi Kuchh Soz Hai Kuchh Saz Hai for youth and Student by Arsh Sahbai. Free Download Zindagi Kuchh Soz Hai Kuchh Saz Hai in PDF.