Ye Dekhen Raaz-e-dil Ab Kaun Karta Hai Ayan Pahle
ye dekhen raaz-e-dil ab kaun karta hai ayan pahle
nazar karti hai izhaar-e-mohabbat ya zaban pahle
agar ho dekhna maqsud barbaadi ka nazzara
jila kar dekhiye ek bar apna aashiyan pahle
pahunch kar manzil-e-hasti pe ye ehsas hota hai
ki guzre hain yahan se aur bhi kuchh karwan pahle
kai masum kaliyan jo abhi khilne na pai hun
masal dete hain apne hath se KHud baghban pahle
Thahar ai gardish-e-ayyam hum bhi sath chalte hain
uTha lene de faiz-e-sohbat-e-pir-e-mughan pahle
(743) Peoples Rate This